KHwahishen KHun mein utri hain sahifon ki tarah
in kitabon mein tere hath ki tahrir bhi hai
Akhtar Hoshiyarpuri
kise KHabar ki guhar kaise hath aate hain
samundaron se bhi gahri hai KHamushi meri
Akhtar Hoshiyarpuri
kisi se mujh ko gila kya ki kuchh kahun 'aKHtar'
ki meri zat hi KHud raste ka patthar hai
Akhtar Hoshiyarpuri
kuchh itne ho gae manus sannaTon se hum 'aKHtar'
guzarti hai giran apni sada bhi ab to kanon pa
Akhtar Hoshiyarpuri
kuchh mujhe bhi yahan qarar nahin
kuchh tera gham bhi dar-ba-dar hai yahan
Akhtar Hoshiyarpuri
kya log hain ki dil ki girah kholte nahin
aankhon se dekhte hain magar bolte nahin
Akhtar Hoshiyarpuri
log nazron ko bhi paDh lete hain
apni aankhon ko jhukae rakhna
Akhtar Hoshiyarpuri
main ab bhi raat gae us ki gunj sunta hun
wo harf kam tha bahut kam magar sada tha bahut
Akhtar Hoshiyarpuri
main apni zat ki tashrih karta phirta tha
na jaane phir kahan aawaz kho gai meri
Akhtar Hoshiyarpuri