اردو हिंदी
Dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahan | Shaahi Shayari
dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahan

Ghazal

Dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahan

Akhtar Hoshiyarpuri

;

dasht-dar-dasht aks-e-dar hai yahan
tum bhi aao ki mera ghar hai yahan

phailti ja rahi hai surKH lakir
jaise koi lahu mein tar hai yahan

dhup se bach ke jaen aur kahan
apni zat ek ghana shajar hai yahan

wahi miTTi hai sab ke chehron par
aaina sab se ba-KHabar hai yahan

shaKH-dar-shaKH ek saya hai
chand jo hai pas-e-shajar hai yahan

Dub kar jis mein apni thah mili
lamha lamha wahi bhanwar hai yahan

pattharon mein hazar chehre hain
han magar koi tisha-gar hai yahan

kuchh mujhe bhi yahan qarar nahin
kuchh tera gham bhi dar-ba-dar hai yahan

zahr ki kaT kis se ho 'aKHtar'
waqt ka marg-e-neshtar hai yahan