suna hai shahr ka naqsha badal gaya 'mahfuz'
to chal ke hum bhi zara apne ghar ko dekhte hain
Ahmad Mahfuz
shor harim-e-zat mein aaKHir uTTha kyun
andar dekha jae ki bahar dekha jae
Ahmad Mahfuz
ab is makan mein naya koi dar nahin karna
ye kaam sahl bahut hai magar nahin karna
Ahmad Mahfuz
meri ibtida meri intiha kahin aur hai
main shumara-e-mah-o-sal mein nahin aaunga
Ahmad Mahfuz
milne diya na us se hamein jis KHayal ne
socha to us KHayal se sadma bahut hua
Ahmad Mahfuz
kisi se kya kahen sunen agar ghubar ho gae
hamin hawa ki zad mein the hamin shikar ho gae
Ahmad Mahfuz
kahan kisi ko thi fursat fuzul baaton ki
tamam raat wahan zikr bas tumhaara tha
Ahmad Mahfuz
hum ko aawargi kis dasht mein lai hai ki ab
koi imkan hi nahin lauT ke ghar jaane ka
Ahmad Mahfuz
gum-shuda main hun to har samt bhi gum hai mujh mein
dekhta hun wo kidhar DhunDne jata hai mujhe
Ahmad Mahfuz

