اردو हिंदी
Yaqin ke KHilaf | Shaahi Shayari
yaqin ke KHilaf

Nazm

Yaqin ke KHilaf

Shariq Kaifi

;

bharosa bharosa
ye kya raT lagai hai tum ne?

tum alag ho koi is jahan se
are

jaisa main waise tum
main hi jab aaj ki subh waisa na tha jaisa soya tha raat

to phir kis liye aur kyun
main tumhaari purani wafa-dariyon par bharosa karun

ye batao