wo kaun tha wo kaun tha
tilism-e-shahr-e-arzu jo toD kar chala gaya
har ek tar ruh ka jhinjhoD kar chala gaya
mujhe KHala ke bazuon mein chhoD kar chala gaya
sitam-shiar aasman to tha nahin
udasiyon ka raaz-dan to tha nahin
wo mera jism-e-na-tawan to tha nahin
to kaun tha
wo kaun tha?
Nazm
Wo kaun tha
Shahryar

