bahut zaruri baat ek tum se karna thi
lekin tum ko jaldi bahut thi jaane ki
kahna ye tha hum to mashriq maghrib hain
mere han to koi drawing-room nahin
koi baira na koi baTlar na koi maman-shaman
koi garage na koi car koi driwer na KHansaman
ek hi kamra hai jo meri study bhi hai bedroom bhi hai aur
drawing-room bhi mera
main ek kamre mein rahta hun
apne andar rahta hun
apne andar rah kar bhi main ek duniya mein rahta hun
jabhi kaha tha hum to mashriq maghrib hain
mashriq maghrib mein jo farq hai
ye wo ghulam hi jaanen
do Dhai sau sal ghulami ki jo beDiyan
kaTte kaTte qabron mein ja soe
hae allah un jaisa bad-qismat koi aur yahan
na hue
achchha kiya tum chali gain
meri baaton mein kuchh talKHi aa gai hai
tere aaba ne mere aaba par jo zulm kiya hai
wo to meri man ke dudh ne mujhe wirasat
mein baKHsha hai
Nazm
Nazm
Ahmad Rahi