ab to shayad isi andaz se jina hoga
us ke har zulm ko be-dad ko chup-chap sahen
yun to kahne ko bahut kuchh hai magar aaThon pahar
ek yahi fikr hai kis tarah kahen kis se kahen
dekhti aankhon se hum se to ye hoga na kabhi
is bhari bazm mein hum surat-e-taswir rahen
baat kahne ka jo anjam hua karta hai
aashkara hai kisi se bhi to mastur nahin
wo jo aaqaon ke dastur ko Thukra ke baDhen
wadi-e-dar-o-rasan un se koi dur nahin
hum bhi shayad usi manzil mein pahunch kar dam len
dahr mein ghalba-e-zulmat hamein manzur nahin
qaid kya shai hai salasil ki haqiqat kya hai
jism paband sahi fikr to mahsur nahin
dil mein jo baat khaTakti ho agar dil mein rahe
maslahat-keshi hai ye shewa-e-mansur nahin
Nazm
Lab-e-goya
Ahmad Rahi