اردو हिंदी
La-zawal hone ka | Shaahi Shayari
la-zawal hone ka

Nazm

La-zawal hone ka

Shahryar

;

raat ki khuli khiDki
band hone wali hai

chand ke kaTore mein
os bharne wali hai

ye ajab safar is ka
ab tamam hota hai

la-zawal hone ka
dekho kya bahana hai

kal bhi ek haqiqat tha
aaj bhi fasana hai

aasman ki jaanib
sab ke hath uThte hain

us ke KHun ki surKHi
barg-o-bar laegi

be-namaz bandon par
yani un darindon par

har qadam masaib ka
intizar laega