andhera itna nahin hai ki kuchh dikhai na de 
sukut aisa nahin hai jo kuchh sunai na de
Waheed Akhtar
abr aankhon se uThe hain tera daman mil jae 
hukm ho tera to barsat mukammal ho jae
Waheed Akhtar
aam o dar o diwar ko hi ghar nahin kahte 
tum ghar mein nahin ho to makan hai bhi nahin bhi
Waheed Akhtar
e-barse guzar jate hain umDe hue baadal 
jaise unhen mera hi pata yaad nahin hai
Waheed Akhtar
ichhDe hue KHwab aa ke pakaD lete hain daman 
har rasta parchhaiyon ne rok liya hai
Waheed Akhtar
ut banane pujne phir toDne ke waste 
KHud-parasti ko naya har roz patthar chahiye
Waheed Akhtar
dasht ki uDti hui ret pe likh dete hain log 
ye zamin meri ye diwar ye dar mera hai
Waheed Akhtar
har ek lamha kiya qarz zindagi ka ada 
kuchh apna haq bhi tha hum par wahi ada na hua
Waheed Akhtar
hazaron sal safar kar ke phir wahin pahunche 
bahut zamana hua tha hamein zamin se chale
Waheed Akhtar

