ab zamane mein mohabbat hai tamashe ki tarah
is tamashe se bahalta nahin tu bhi main bhi
Tauqeer Taqi
adan mein dil tha muallaq KHala mein nazren thin
magar kahin kahin sine mein dard zinda tha
Tauqeer Taqi
adan mein ruh ki tarsil karne wale log
badal gae mujhe tabdil karne wale log
Tauqeer Taqi
daman bacha rahe the ki chehra bhi jal gaya
kis aag se guzar ke teri raushni mein aae
Tauqeer Taqi
hamari rah mein baiThegi kab tak teri duniya
kabhi to is zuleKHa ki jawani KHatm hogi
Tauqeer Taqi
hijr tha bar-e-amanat ki tarah
so ye gham aaKHiri hichki se uTha
Tauqeer Taqi
in sulagti hui sanson ko nahin dekhte log
aur samajhte hain ki jalta nahin tu bhi main bhi
Tauqeer Taqi
jaise viran haweli mein hon KHamosh charagh
ab guzarti hain tere shahr mein shamen aisi
Tauqeer Taqi
kal jahan diwar hi diwar thi
ab wahan dar hai jabin hai ishq hai
Tauqeer Taqi