lafz ki qaid se riha ho ja
aa meri aankh se ada ho ja
Tauqeer Taqi
main tere hijr se niklunga to mar jaunga
hae wo log jo mehwar se nikal jate hain
Tauqeer Taqi
phenk de KHushk phul yaadon ke
zid na kar tu bhi be-wafa ho ja
Tauqeer Taqi
uTh kar aankh ke andar se nikal jate hain
ashk bachchon ki tarah ghar se nikal jate hain
Tauqeer Taqi
sabz peDon ko pata tak nahin chalta shayad
zard patte bhare manzar se nikal jate hain
Tauqeer Taqi
yahin aana hai bhaTakti hui aawazon ko
yani kuchh baat to hai koh-e-nida mein aisi
Tauqeer Taqi
zar ka banda ho ki mahrumi ka mara hua shaKHs
jis ko dekho wahi auqat se nikla hua hai
Tauqeer Taqi