ajab nahin ki ho diwar nuqta-e-mauhum
makan ho ki makin do dilon ka milna dekh
Syed Amin Ashraf
hai irtibaat-shikan daeron mein baT jaana
chaman ka mauja-e-baad-e-saba se kaT jaana
Syed Amin Ashraf
hai ta-hadd-e-imkan koi basti na bayaban
aankhon mein koi KHwab dikhai nahin deta
Syed Amin Ashraf
halqa-e-sham-o-sahar se nahin jaane wala
dard is dida-e-tar se nahin jaane wala
Syed Amin Ashraf
hawa ka tabsira ye sakinan-e-shahr pe tha
ajib log hain pani pe ghar banate hain
Syed Amin Ashraf
ek chand hai aawara-o-betab o falak-tab
ek chand hai aasudgi-e-hijr ka mara
Syed Amin Ashraf
ek KHala hai jo pur nahin hota
jab koi darmiyan se uThta hai
Syed Amin Ashraf
is tarah chashm-e-nim-wa ghafil bhi thi bedar bhi
jaise nasha ho raat ka ya subh ka taDka hua
Syed Amin Ashraf
jise na-KHwab kahte hain usi ko KHwab kahte hain
tamiz-e-KHair-o-shar mein nukta-e-sad-motabar kya hai
Syed Amin Ashraf