kahin bhi tair-e-awara ho magar tai hai 
jidhar kaman hai udhar jaega kabhi na kabhi
Syed Amin Ashraf
kahin pe dast-e-nigarin kahin lab-e-lalin 
wo sote sote meri nind ka uchaT jaana
Syed Amin Ashraf
kisi se ishq ho jaane ko afsana nahin kahte 
ki afsane mata-e-kucha-o-bazar hote hain
Syed Amin Ashraf
lazzat-e-did KHuda jaane kahan le jae 
aankh hoti hai to hota nahin qabu dil pa
Syed Amin Ashraf
main dekhta hun faraaz-e-junun se duniya ko 
ki sahal bhi nahin shayan-e-arzu hona
Syed Amin Ashraf
main par-shikasta na tha baadalon ke bich magar 
meri uDan ka zanjir se lipaT jaana
Syed Amin Ashraf

