han ai gham-e-ishq mujh ko pahchan
dil ban ke dhaDak raha hun kab se
Shohrat Bukhari
ham-safar ho to koi apna-sa
chand ke sath chaloge kab tak
Shohrat Bukhari
har samt falak-bos pahaDon ki qataren
'KHusraw' hai na 'shirin' hai na tesha hai na farhad
Shohrat Bukhari
jab tujhe bhulna chaha dil ne
ek nae gham ki saza di hum ne
Shohrat Bukhari
kuchh aisa dhuan hai ki ghuTTi jati hain sansen
is raat ke baad aaoge shayad na kabhi yaad
Shohrat Bukhari
parde mein KHamoshi ke burqe mein udasi ke
shayad koi aa jae darwaza khula rakhna
Shohrat Bukhari
ye kis azab mein chhoDa hai tu ne is dil ko
sukun yaad mein teri na bhulne mein qara
Shohrat Bukhari