aaj aankhon mein koi raat gae aaega
aaj ki raat ye darwaza khula rahne de
Shakeel Azmi
apni manzil pe pahunchna bhi khaDe rahna bhi
kitna mushkil hai baDe ho ke baDe rahna bhi
Shakeel Azmi
aat se baat ki gahrai chali jati hai
jhuT aa jae to sachchai chali jati hai
Shakeel Azmi
as ek pukar pe darwaza khol dete hain
zara sa sabr bhi in aansuon se hota nahin
Shakeel Azmi
huk mein ishq ki tahzib bhi mar jati hai
chand aakash pe thaali ki tarah lagta hai
Shakeel Azmi
ichhaD ke bhi wo mere sath hi raha har dam
safar ke baad bhi main rail mein sawar raha
Shakeel Azmi
ghar ke diwar-o-dar pe sham hi se
nazm likhta hua hai sannaTa
Shakeel Azmi
hadse shahar ka dastur bane jate hain
ab yahan saya-e-diwar na DhunDhen koi
Shakeel Azmi
har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye
kuchh hunar chahiye bazar mein rahne ke liye
Shakeel Azmi