ab mujhe bolna nahin paDta 
ab main har shaKHs ki pukar mein hun
Shahid Zaki
abhi to pahle paron ka bhi qarz hai mujh par 
jhijak raha hun nae par nikalta hua main
Shahid Zaki
in mange mil raha ho to KHwahish fuzul hai 
suraj se raushni ki guzarish fuzul hai
Shahid Zaki
main aap apni maut ki tayyariyon mein hun 
mere KHilaf aap ki sazish fuzul hai
Shahid Zaki
main badalte hue haalat mein Dhal jata hun 
dekhne wale adakar samajhte hain mujhe
Shahid Zaki
main to KHud bikne ko bazar mein aaya hua hun 
aur dukan-dar KHaridar samajhte hain mujhe
Shahid Zaki
phalon ke sath kahin ghonsle na gir jaen 
KHayal rakhta hun patthar uchhaalta hua main
Shahid Zaki
aushni banTta hun sarhadon ke par bhi main 
ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe
Shahid Zaki
yar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe 
main samajhta tha mere yar samajhte hain mujhe
Shahid Zaki

