aa gaya tha ek din lab par jafaon ka gila
aaj tak jab un se milte hain to sharmate hain hum
Shafiq Jaunpuri
fareb-e-raushni mein aane walo main na kahta tha
ki bijli aashiyane ki nigahban ho nahin sakti
Shafiq Jaunpuri
ishq ki ibtida to jaante hain
ishq ki intiha nahin malum
Shafiq Jaunpuri
jala wo shama ki aandhi jise bujha na sake
wo naqsh ban ki zamana jise miTa na sake
Shafiq Jaunpuri
kamal-e-ashiqi har shaKHs ko hasil nahin hota
hazaron mein koi majnun koi farhad hota hai
Shafiq Jaunpuri
kashti ka zimmedar faqat naKHuda nahin
kashti mein baiThne ka saliqa bhi chahiye
Shafiq Jaunpuri
tujhe hum dopahar ki dhup mein dekhenge ai ghunche
abhi shabnam ke rone par hansi malum hoti hai
Shafiq Jaunpuri