aah karta hun to aati hai palaT kar ye sada
aashiqon ke waste bab-e-asar khulta nahin
Sehr Ishqabadi
ek hum hain raat bhar karwaT badalte hi kaTi
ek wo hain din chaDhe tak jin ka dar khulta nahin
Sehr Ishqabadi
guzarne ko to guzre ja rahe hain rah-e-hasti se
magar hai karwan apna na mir-e-karwan apna
Sehr Ishqabadi
husn ka har KHayal raushan hai
ishq ka muddaa kise malum
Sehr Ishqabadi
pahli si lazzaten nahin ab dard-e-ishq mein
kyun dil ko main ne zulm ka KHugar bana diya
Sehr Ishqabadi
teri jafa wafa sahi meri wafa jafa sahi
KHun kisi ka bhi nahin to ye bata hai kya shafaq
Sehr Ishqabadi
wo dard hai ki dard sarapa bana diya
main wo mariz hun jise isa bhi chhoD de
Sehr Ishqabadi