اردو हिंदी
Meri qismat se qafas ka ya to dar khulta nahin | Shaahi Shayari
meri qismat se qafas ka ya to dar khulta nahin

Ghazal

Meri qismat se qafas ka ya to dar khulta nahin

Sehr Ishqabadi

;

meri qismat se qafas ka ya to dar khulta nahin
dar jo khulta hai to band-e-baal-o-par khulta nahin

aah karta hun to aati hai palaT kar ye sada
aashiqon ke waste bab-e-asar khulta nahin

ek hum hain raat bhar karwaT badalte hi kaTi
ek wo hain din chaDhe tak jin ka dar khulta nahin

rafta rafta hi naqab uTThegi ru-e-husn se
wo to wo hai ek dam koi bashar khulta nahin