aaghaz-e-mohabbat se anjam-e-mohabbat tak
ik aag ka dariya hai aur Dub ke jaana hai
Sarwar Alam Raz
aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu
ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla
Sarwar Alam Raz
aashiqi ki KHair ho 'sarwar' ki ab is shahr mein
waqt wo aaya hai bande bhi KHuda hone lage
Sarwar Alam Raz
ayan qissa-e-bechaargi kiya jae
jo dil ki rah gai dil mein use kaha jae
Sarwar Alam Raz
e-kaif jawani hai be-dard zamana hai
nakaam-e-mohabbat ka itna hi fasana hai
Sarwar Alam Raz
dekh ye jazb-e-mohabbat ka karishma to nahin
kal jo tere dil mein tha wo aaj mere dil mein hai
Sarwar Alam Raz
kam-ayari ne KHuda-soz banaya aisa
but to sab yaad rahe ek KHuda bhul gae
Sarwar Alam Raz
shauq hai tujh ko zamane mein tera nam rahe
aur mujhe Dar hai mohabbat meri bad-nam na ho
Sarwar Alam Raz
tu ne kab ishq mein achchha bura socha 'sarwar'
kaise mumkin hai ki tera bura anjam na ho
Sarwar Alam Raz