aa raha hoga wo daman se hawa bandhe hue
aaj KHushbu ko pareshan kiya jaega
Salim Saleem
ab is ke baad kuchh bhi nahin iKHtiyar mein
wo jabr tha ki KHud ko KHuda kar chuke hain hum
Salim Saleem
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
Salim Saleem
hare bazar mein baiTha hun liye jins-e-wajud
shart ye hai ki meri KHak ki qimat di jae
Salim Saleem
ujha rakhe hain ye kis ne sabhi charagh-e-hawas
zara sa jhank ke dekhen kahin hawa hi na ho
Salim Saleem
charagh-e-ishq badan se laga tha kuchh aisa
main bujh ke rah gaya us ko hawa banane mein
Salim Saleem
chaTaKH ke TuT gai hai to ban gai aawaz
jo mere sine mein ek roz KHamushi hui thi
Salim Saleem
hijr ke din to hue KHatm baDi dhum ke sath
wasl ki raat hai kyun marsiya-KHwani karen hum
Salim Saleem
ek barf si jami rahe diwar-o-baam par
ek aag mere kamre ke andar lagi rahe
Salim Saleem