aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi
ek chhalakte saghar mein mai bhi hai mai-KHana bhi
Saghar Nizami
aao ek sajda karun aalam-e-bad-samti mein
log kahte hain ki 'saghar' ko KHuda yaad nahin
Saghar Nizami
DhunDhne ko tujhe o mere na milne wale
wo chala hai jise apna bhi pata yaad nahin
Saghar Nizami
dil ki barbaadiyon ka rona kya
aise kitne hi waqiat hue
Saghar Nizami
gul apne ghunche apne gulsitan apna bahaar apni
gawara kyun chaman mein rah ke zulm-e-baghban kar len
Saghar Nizami
husn ne dast-e-karam khinch liya hai kya KHub
ab mujhe bhi hawas-e-lazzat-e-azar nahin
Saghar Nizami
kafir gesu walon ki raat basar yun hoti hai
husn hifazat karta hai aur jawani soti hai
Saghar Nizami
KHiraman KHiraman moattar moattar
nasim aa rahi hai ki wo aa rahe hain
Saghar Nizami
nazar karam ki farawaniyon pe paDti hai
phir apne daman-e-KHaki ko dekhta hun main
Saghar Nizami