sailab-e-tabassum se darman-e-jarahat kar
TukDe dil-e-bismil ke aaluda-e-KHun kab tak
Saghar Nizami
sajde meri jabin ke nahin is qadar haqir
kuchh to samajh raha hun tere aastan ko main
Saghar Nizami
taKHliq andheron se kiye hum ne ujale
har shab ko ek aiwan-e-sahar hum ne banaya
Saghar Nizami
tere naghmon se hai rag rag mein tarannum paida
ishrat-e-ruh hai zalim teri aawaz nahin
Saghar Nizami
wo meri KHak-nashini ke maze kya jaane
jo meri tarah teri rah mein barbaad nahin
Saghar Nizami
wo sawal-e-lutf par patthar na barsaen to kyun
un ko parwa-e-shikast-e-kasa-e-sail nahin
Saghar Nizami
yahi sahba yahi saghar yahi paimana hai
chashm-e-saqi hai ki mai-KHane ka mai-KHana hai
Saghar Nizami