sirf mane thi haya band-e-qaba khulne talak
phir to wo jaan-e-haya aisa khula aisa khula
Rasa Chughtai
ishq mein bhi siyasaten niklin
qurbaton mein bhi fasla nikla
Rasa Chughtai
jin aankhon se mujhe tum dekhte ho
main un aankhon se duniya dekhta hun
Rasa Chughtai
kaun dil ki zaban samajhta hai
dil magar ye kahan samajhta hai
Rasa Chughtai
miTTi jab tak nam rahti hai
KHushbu taza-dam rahti hai
Rasa Chughtai
sahra-e-be-KHayal mein jal-thal kahan ke hain
aaKHir hawa-e-shauq ye baadal kahan ke hain
Rasa Chughtai
shahr mein jaise koi aaseb hai
shahr mein muddat se hangama nahin
Rasa Chughtai
sher-o-suKHan ka shahr nahin ye shahr-e-izzat-daran hai
tum to 'rasa' bad-nam hue kyun auron ko bad-nam karun
Rasa Chughtai
uTh raha hai dhuan mere ghar mein
aag diwar se udhar ki hai
Rasa Chughtai

