hamein wasta taDap se hamein kaam aansuon se
tujhe yaad kar ke roe ya tujhe bhula ke roe
Rajinder Krishan
ek chhoTa sa tha mera aashiyan
aaj tinke se alag tinka hua
Rajinder Krishan
ek mohabbat ke siwa aur na kuchh manga tha
kya karen ye bhi zamane ko gawara na hua
Rajinder Krishan
murjha chuka hai phir bhi ye dil phul hi to hai
ab aap ki KHushi ise kanTon mein tauliye
Rajinder Krishan
na chaaragar ki zarurat na kuchh dawa ki hai
dua ko hath uThao ki gham ki raat kaTe
Rajinder Krishan
na jhaTko zulf se pani ye moti TuT jaenge
tumhaara kuchh na bigDega magar dil TuT jaenge
Rajinder Krishan
ye nazuk lab hain ya aapas mein do lipTi hui kaliyan
zara in ko alag kar do tarannum phuT jaenge
Rajinder Krishan