aa gaya yaad unhen apne kisi gham ka hisab
hansne walon ne mere ashk jo gin ke dekhe
Nazeer Baaqri
aag duniya ki lagai hui bujh jaegi
koi aansu mere daman pe bikhar jaane de
Nazeer Baaqri
apni aankhon ke samundar mein utar jaane de
tera mujrim hun mujhe Dub ke mar jaane de
Nazeer Baaqri
is liye chal na saka koi bhi KHanjar mujh par
meri shah-rag pe meri man ki dua rakkhi thi
Nazeer Baaqri
khaDa hun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko
Nazeer Baaqri
KHub gae pardes ki apne diwar-o-dar bhul gae
shish-mahal ne aisa ghera miTTi ke ghar bhul gae
Nazeer Baaqri
kisi ne hath baDhaya hai dosti ke liye
phir ek bar KHuda e'tibar de mujh ko
Nazeer Baaqri
main ek zarra bulandi ko chhune nikla tha
hawa ne tham ke zamin par gira diya mujh ko
Nazeer Baaqri
main ne duniya chhoD di lekin mera murda badan
ek uljhan ki tarah qatil ki nazron mein raha
Nazeer Baaqri