aankh jhuk jati hai jab band-e-qaba khulte hain
tujh mein uThte hue KHurshid ki uryani hai
Mustafa Zaidi
dil ke rishte ajib rishte hain
sans lene se TuT jate hain
Mustafa Zaidi
gham-e-dauran ne bhi sikhe gham-e-jaanan ke chalan
wahi sochi hui chaalen wahi be-saKHta-pan
Mustafa Zaidi
ek mauj-e-KHun-e-KHalq thi kis ki jabin pe thi
ek tauq-e-fard-e-jurm tha kis ke gale mein tha
Mustafa Zaidi
inhin pattharon pe chal kar agar aa sako to aao
mere ghar ke raste mein koi kahkashan nahin hai
Mustafa Zaidi
is tarah hosh ganwana bhi koi baat nahin
aur yun hosh se rahne mein bhi nadani hai
Mustafa Zaidi
ishq in zalimon ki duniya mein
kitni mazlum zat hai ai dil
Mustafa Zaidi
jis din se apna tarz-e-faqirana chhuT gaya
shahi to mil gai dil-e-shahana chhuT gaya
Mustafa Zaidi
KHud apne shab-o-roz guzar jaenge lekin
shamil hai mere gham mein teri dar-badari bhi
Mustafa Zaidi