main kis ke hath pe apna lahu talash karun
tamam shahr ne pahne hue hain dastane
Mustafa Zaidi
meri ruh ki haqiqat mere aansuon se puchho
mera majlisi tabassum mera tarjuman nahin hai
Mustafa Zaidi
nawak-e-zulm uTha dashna-e-andoh sambhaal
lutf ke KHanjar-e-be-nam se mat mar mujhe
Mustafa Zaidi
uh ke is virane mein teri yaad hi sab kuchh thi
aaj to wo bhi yun guzri jaise gharibon ka tyauhaa
Mustafa Zaidi
titliyan uDti hain aur un ko pakaDne wale
sai-e-nakaam mein apnon se bichhaD jate hain
Mustafa Zaidi
utra tha jis pe bab-e-haya ka waraq waraq
bistar ke ek ek shikan ki sharik thi
Mustafa Zaidi