aisa bhi kabhi ho main jise KHwab mein dekhun
jagun to wahi KHwab ki tabir batae
Mustafa Shahab
apni kashti sar pe rakh kar chal rahe hain hum 'shahab'
ye bhi mumkin hai ki agle moD par dariya mile
Mustafa Shahab
ichhDa wo mujh se aaise na bichhDe kabhi koi
ab yun mila hai jaise wo pahle mila na ho
Mustafa Shahab
ikhra bikhra sa saz-o-saman hai
hum kahin dil kahin aqida kahin
Mustafa Shahab
dar kunj-e-sada-band ka kholenge kisi roz
hum log jo KHamosh hain bolenge kisi roz
Mustafa Shahab
dil sambhaale nahin sambhalta hai
jaise uTh kar abhi gaya hai koi
Mustafa Shahab
go tark-e-talluq mein bhi shamil hain kai dukh
be-kaif talluq ke bhi aazar bahut hain
Mustafa Shahab
hum mein aur parindon mein farq sirf itna hai
dast-o-pa mile hum ko baal-o-par parindon ko
Mustafa Shahab
haqiqat ko tamashe se juda karne ki KHatir
uTha kar barha parda girana paD gaya hai
Mustafa Shahab