aankh se aankh milana to suKHan mat karna
Tok dene se kahani ka maza jata hai
Mohsin Asrar
ajib shaKHs tha lauTa gaya mera sab kuchh
muawza na liya dekh-bhaal karne ka
Mohsin Asrar
ahut achchha teri qurbat mein guzra aaj ka din
bas ab ghar jaenge aur kal ki tayyari karenge
Mohsin Asrar
ahut kuchh tum se kahna tha magar main kah na paya
lo meri Diary rakh lo mujhe nind aa rahi hai
Mohsin Asrar
Dar hai kahin main dasht ki jaanib nikal na jaun
baiTha hun apne panw mein zanjir Dal ka
Mohsin Asrar
ghar mein rahna mera goya use manzur nahin
jab bhi aata hai naya kaam bata jata hai
Mohsin Asrar
hum apne zahir o baatin ka andaza laga len
phir us ke samne jaane ki tayyari karenge
Mohsin Asrar
ham-sae ka sukh to us ke KHwab ka pura hona hai
tum par riqqat tari ho to ro lo lekin shor na ho
Mohsin Asrar
hawa charagh bujhane lagi to hum ne bhi
diye ki lau ki jagah tera intizar rakha
Mohsin Asrar