azmat-e-kaba musallam hai magar but-kada mein
ek aaram ye kaisa hai ki kuchh dur nahin
Mirza Mayal Dehlvi
dil kya nigah-e-mast se mai-KHana ban gaya
mazmun-e-ashiqana bhi rindana ban gaya
Mirza Mayal Dehlvi
iman jae ya rahe jo ho bala se ho
ab to nazar mein wo but-e-kafir sama gaya
Mirza Mayal Dehlvi
ishq bhi kya chiz hai sahal bhi dushwar hai
un ko idhar dekhna mujh ko udhar dekhna
Mirza Mayal Dehlvi
mail ko jaante bhi ho hazrat hain ek rind
kya e'tibar aap ke roze namaz ka
Mirza Mayal Dehlvi
manen jo meri baat muridan-e-be-riya
den shaiKH ko kafan to Dubo kar sharab mein
Mirza Mayal Dehlvi
milen kisi se to bad-nam hon zamane mein
abhi gae hain wo mujh ko suna ke parde mein
Mirza Mayal Dehlvi
mujhe kafir hi batata hai ye waiz kam-baKHt
main ne bandon mein kai bar KHuda ko dekha
Mirza Mayal Dehlvi
na kaba hi tajalli-gah Thahraya na but-KHana
laDana KHub aata hai tumhein shaiKH o barahman ko
Mirza Mayal Dehlvi