aap ki meri kahani ek hai 
kahiye ab main kya sunaun kya sunun
Maikash Akbarabadi
aiThe rahe wo KHun-e-tamanna kiye hue 
dekha kiye unhen nigah-e-iltija se hum
Maikash Akbarabadi
charagh-e-kushta le kar hum teri mahfil mein kya aate 
jo din the zindagi ke wo to raste mein guzar aae
Maikash Akbarabadi
hum ne lale ki tarah is daur mein 
aankh kholi thi ki dekha dil ka KHun
Maikash Akbarabadi
kuchh is tarah teri ulfat mein kaT di main ne 
gunahgar hua aur na pak-baz raha
Maikash Akbarabadi
mere fusun ne dikhai hai tere ruKH ki sahar 
mere junun ne banai hai tere zulf ki sham
Maikash Akbarabadi
nahin hai dil ka sukun qismat-e-tamanna mein 
tumhein bhi dil ki tamanna bana ke dekh liya
Maikash Akbarabadi
naza tak dil us ko dohraya kiya 
ek tabassum mein wo kya kuchh kah gae
Maikash Akbarabadi
pahunch hi jaega ye hath teri zulfon tak 
yunhi junun ka agar silsila daraaz raha
Maikash Akbarabadi

