apne gird-o-pesh ka bhi kuchh pata rakh
dil ki duniya to magar sab se juda rakh
Kumar Pashi
dasht-e-junun ki KHak uDane walon ki himmat dekho
TuT chuke hain andar se lekin man-mani baqi hai
Kumar Pashi
hain sare inkishaf apne hain sare mumkinat apne
hum is duniya ka sara ilm le jaenge sath apne
Kumar Pashi
hui hain dair o haram mein ye sazishen kaisi
dhuan sa uThne laga shahr ke makanon se
Kumar Pashi
kabhi dikha de wo manzar jo main ne dekhe nahin
kabhi to nind mein ai KHwab ke farishte aa
Kumar Pashi
koi to DhunD ke mujh ko kahin se le aae
ki KHud ko dekha nahin hai bahut zamanon se
Kumar Pashi
kuchh ghazlen un zulfon par hain kuchh ghazlen un aankhon par
jaane wale dost ki ab ek yahi nishani baqi hai
Kumar Pashi
kyun logon se mehr-o-wafa ki aas lagae baiThe ho
jhuT ke is makruh nagar mein logon ka kirdar kahan
Kumar Pashi
meri dahliz par chupke se 'pashi'
ye kis ne rakh di meri lash la ka
Kumar Pashi