اردو हिंदी
Hue hain band dishaon ke sare raste aa | Shaahi Shayari
hue hain band dishaon ke sare raste aa

Ghazal

Hue hain band dishaon ke sare raste aa

Kumar Pashi

;

hue hain band dishaon ke sare raste aa
andhera chhane laga lauT kar parinde aa

main teri sari tamazat ko jazb kar lunga
tu aaftab kabhi mere dil mein bujhne aa

kabhi dikha de wo manzar jo main ne dekhe nahin
kabhi to nind mein ai KHwab ke farishte aa

yahan to kab se andheron mein gharq hai duniya
idhar jo aa to sitaron ki shaal oDhe aa

na chupke chupke sulag ji ko apne halka kar
tujhe ye kaun sa dukh hai kabhi batane aa

baDa sukun milega tujhe yahan aa kar
jo ho sake to kabhi mere dil mein rahne aa

dahakta shoala sa main ek dasht hun 'pashi'
agar ghaTa hai tu sawan ki to barasne aa