muKHatab jo zahid se tu ho gaya
to us ka bhi ThanDa wuzu ho gaya
Kishan Kumaar Waqaar
imsak mein rahegi na pabandi-e-mani
hargiz nahin hain mughbache bint-ul-inab se kam
Kishan Kumaar Waqaar
jis ko pas us ne biThaya ek din
us ko duniya se uThaya ek din
Kishan Kumaar Waqaar
jo mujh par hai wahi hai ghair par lutf
hua hai KHatma is par wafa ka
Kishan Kumaar Waqaar
kis waste laDte hain baham shaiKH-o-barahman
kaba na kisi ka hai na but-KHana kisi ka
Kishan Kumaar Waqaar
kuchh gham firaq ka hai na kuchh wasl ki KHushi
hun us ke zauq-o-shauq mein masrur raat din
Kishan Kumaar Waqaar
main kahun aap tumhein aap kahen tum mujh ko
tum jatate nahin kis rose tahakkum mujh ko
Kishan Kumaar Waqaar
mujhi ko galiyan dete rahe wo
magar leta raha bose chaTa-chaT
Kishan Kumaar Waqaar
yar ne KHatt-o-kabutar ke kiye hain TukDe
purze kaghaz ke karen jama ki par jama karen
Kishan Kumaar Waqaar

