ai intizar-e-subh-e-tamanna ye kya hua
aata hai ab KHayal bhi tera thaka hua
Khurshid Ahmad Jami
aDe dilchasp wade the baDe rangin dhoke the
gulon ki aarzu mein zindagi shole uTha lai
Khurshid Ahmad Jami
chamakte KHwab milte hain mahakte pyar milte hain
tumhaare shahr mein kitne hasin aazar milte hain
Khurshid Ahmad Jami
jalao gham ke diye pyar ki nigahon mein
ki tirgi hai bahut zindagi ki rahon mein
Khurshid Ahmad Jami
koi halchal hai na aahaT na sada hai koi
dil ki dahliz pe chup-chap khaDa hai koi
Khurshid Ahmad Jami
kuchh dur aao maut ke hamrah bhi chalen
mumkin hai raste mein kahin zindagi mile
Khurshid Ahmad Jami
na intizar na aahen na bhigti raaten
KHabar na thi ki tujhe is tarah bhula dunga
Khurshid Ahmad Jami
pahchan bhi saki na meri zindagi mujhe
itni rawa-rawi mein kahin samna hua
Khurshid Ahmad Jami
sahar ke sath chale raushni ke sath chale
tamam umr kisi ajnabi ke sath chale
Khurshid Ahmad Jami