ab ghar ke dariche mein aaegi hawa kaise
aage bhi plaza hai pichhe bhi plaza hai
Khalid Irfan
huk taKHliq ka talent baDha deti hai
peT KHali ho to hum sher naya kahte hain
Khalid Irfan
do chaar din se meri samaat block thi
tum ne ghazal paDhi to mera kan khul gaya
Khalid Irfan
jo lughat ko toD-maroD de jo ghazal ko nasr se joD de
main wo bad-mazaq-e-suKHan nahin wo jadidiya koi aur hai
Khalid Irfan
jo tum parfum mein Dupki laga kar roz aati ho
faza tum se moattar hai hawa mein kuchh nahin rakkha
Khalid Irfan
kaisa ajib aaya hai is sal ka bajaT
murghi ka jo bajaT hai wahi dal ka bajaT
Khalid Irfan
main ne bas itna hi likha i-lowe-you aur phir
us ne aage kar diya tha gal internet pa
Khalid Irfan
na hon paise to istiqbaaliyon se kuchh nahin hoga
kisi shaer ko KHali taliyon se kuchh nahin hoga
Khalid Irfan