baat hoti hai pas-e-chakwal internet par
'naziya' suljha rahi hai baal internet par
sas hain aamada-e-dast-o-gareban in dinon
ghibaten min-jaanib-e-sasural internet par
aaj bad-baKHti se jis KHush-baKHt ka shauhar hun main
is ko KHat likkha tha pichhle sal internet par
main ne bas itna hi likha i-lowe-you aur phir
us ne aage kar diya tha gal internet par
ab hamare sher sunne par koi raazi nahin
mil gae jis roz se qawwal internet par
shukriya email ke ustad tera shukriya
ban gai wo shaera is sal internet par
KHalid-e-irfan teri kya zarurat hai ki jab
'mir' internet par 'iqbaal' internet par
Ghazal
Baat hoti hai pas-e-chakwal internet par
Khalid Irfan