abhi marne ki jaldi hai 'ibaadi'
agar zinda rahe to phir milenge
Khalid Ebadi
hamare hath kaTe ja rahe the
tumhaare hath se kirpan le ka
Khalid Ebadi
kabhi kabhi chup ho jaane ki KHwahish hoti hai
aaise mein jab tir-e-sitam ki barish hoti hai
Khalid Ebadi
main zaKHm zaKHm nahin hun magar masihai
mere badan mein meri jaan kyun nahin rakhti
Khalid Ebadi
shahr ka bhi dastur wahi jangal wala
khojne wale hi akasr kho jate hain
Khalid Ebadi
ye kaisa tanaza hai ki faisal nahin hota
haq tera ziyaada hai ki hukkaam ka tere
Khalid Ebadi
zara sa dard aur itni dawaen
pasand aai nahin chaaragari tak
Khalid Ebadi
zara Thahro use aane do us ki baat bhi sun len
hamein jo ilm hai go dil ko dahlane hi wala hai
Khalid Ebadi