adal liya hai zara KHwab ke ilaqe ko
makan ko chhoD ke ab la-makan mein rahta hun
Khaavar Ejaz
hath lagate hi miTTi ka Dher hue
kaise kaise rang bhare the KHwabon mein
Khaavar Ejaz
ek arse baad hui khul ke guftugu us se
ek arse baad wo kanTa chubha hua nikla
Khaavar Ejaz
jahan tum ho wahan se dur paDti hai zamin meri
jahan main hun wahan se aasman nazdik paDta hai
Khaavar Ejaz
mere aur us ke bich ek dhund si maujud rahti hai
ye duniya aa rahi hai mere us ke darmiyan shayad
Khaavar Ejaz
mere sehan par khula aasman rahe ki main
use dhup chhanw mein banTana nahin chahta
Khaavar Ejaz
mujhe is KHwab ne ek arse tak be-tab rakkha hai
ek unchi chhat hai aur chhat par koi mahtab rakkha hai
Khaavar Ejaz
suna rahi hai jise joD joD kar duniya
tamam TukDe hain wo meri dastan ke hi
Khaavar Ejaz
ufuq par Dubne wala sitara
kai imkan raushan kar gaya hai
Khaavar Ejaz