اردو हिंदी
Wo mere hisab mein intiha nahin chahta | Shaahi Shayari
wo mere hisab mein intiha nahin chahta

Ghazal

Wo mere hisab mein intiha nahin chahta

Khaavar Ejaz

;

wo mere hisab mein intiha nahin chahta
magar ek main hun ki ibtida nahin chahta

mere sehan par khula aasman rahe ki main
use dhup chhanw mein banTana nahin chahta

kabhi khul sake kisi e'tibar ke daur mein
mujhe chahta hai wo dil se ya nahin chahta

koi aur bhi ho charagh bazm-e-hayat ka
sar-e-taq rakkha hua diya nahin chahta

ye mere wajud ka masala bhi ajib hai
jo main chahta hun wo dusra nahin chahta