ab na wo ahbab zinda hain na rasm-ul-KHat wahan
ruTh kar urdu to dehli se dakan mein aa gai
Kavish Badri
az-sar-e-nau fikr ka aaghaz karna chahiye
be-par-o-baal sahi parwaz karna chahiye
Kavish Badri
ek bosa honT par phaila tabassum ban gaya
jo hararat thi meri us ke badan mein aa gai
Kavish Badri
ek manzar bhi na dekha gaya mujh se 'kawish'
sare aalam ko koi dekh raha hai mujh mein
Kavish Badri
jawab dene ki mohlat na mil saki hum ko
wo pal mein lakh sawalat kar ke jata hai
Kavish Badri
lafz ki buhtat itni naqd o fan mein aa gai
masKH ho kar surat-e-mani suKHan mein aa gai
Kavish Badri
mahaul sab ka ek hai aanhken wahi nazren wahi
sab se alag rahen meri sab se juda manzar mera
Kavish Badri
meri aawaz ko aawaz ne taqsim kiya
radio mein hun telephone ke andar hun main
Kavish Badri
sans lene bhi na paya tha ki manzar gum hua
main kisi qabil na tha warna Thaharta aur kuchh
Kavish Badri