apna KHat aap diya un ko magar ye kah kar
KHat to pahchaniye ye KHat mujhe gumnam mila
Kaifi Hyderabadi
aur bhi to hain zamane mein tumhaare aashiq
ek main hi tumhein kya qabil-e-ilzam mila
Kaifi Hyderabadi
dil lene ke andaz bhi kuchh sikh gaya hun
sohbat mein hasinon ki bahut roz raha hun
Kaifi Hyderabadi
hum aap ko dekhte the pahle
ab aap ki rah dekhte hain
Kaifi Hyderabadi
har taur har tarah ki jo zillat mujhi ko hai
duniya mein kya kisi se mohabbat mujhi ko hai
Kaifi Hyderabadi
KHam subu saghar surahi jam paimana mera
mere saqi jab mera tu hai to mai-KHana mera
Kaifi Hyderabadi
maza hai tere bismilon ko taDap mein
taDap mein nahin bismilon mein maza hai
Kaifi Hyderabadi
mohabbat mein kya kya na kuchh jaur hoga
abhi kya hua hai abhi aur hoga
Kaifi Hyderabadi
aqib donon jahan mein zalil kyun hota
kisi ke bich mein kam-baKHt agar nahin aata
Kaifi Hyderabadi