aaj kya jaane kya hai hone ko
ji bahut chahta hai rone ko
Jigar Barelvi
aastan bhi koi mil jaega ai zauq-e-niyaz
sar salamat hai to sajda bhi ada ho jaega
Jigar Barelvi
dard ho dukh ho to dawa kije
phaT paDe aasman to kya kije
Jigar Barelvi
hum aur uThaenge ehsan jaan-nawazi ke
hamein to sans bhi lena giran guzarta hai
Jigar Barelvi
ishq ko dijiye junun mein farogh
dard se dard ki dawa kijiye
Jigar Barelvi
ishq ko ek umr chahiye aur
umr ka koi e'tibar nahin
Jigar Barelvi
ishq mein qadr-e-KHastagi ki ummid
ai 'jigar' hosh ki dawa kijiye
Jigar Barelvi
na miT saka na miTega kabhi nishan mera
liya ajal ne kai bar imtihan mera
Jigar Barelvi
nahin ilaj-e-gham-e-hijr-e-yar kya kije
taDap raha hai dil-e-be-qarar kiya kije
Jigar Barelvi