aahaT bhi agar ki to tah-e-zat nahin ki
lafzon ne kai din se koi baat nahin ki
Javed Nasir
ahut udas tha us din magar hua kya tha
har ek baat bhali thi to phir bura kya tha
Javed Nasir
dasht ki dhup hai jangal ki ghani raaten hain
is kahani mein bahr haal kai baaten hain
Javed Nasir
dosto tum se guzarish hai yahan mat aao
is baDe shahr mein tanhai bhi mar jati hai
Javed Nasir
ghaDi jo bit gai us ka bhi shumar kiya
nisab-e-jaan mein teri KHamushi bhi shamil ki
Javed Nasir
jumbish-e-mehr hai har lafz teri baaton ka
rang uDta nahin aankhon se mulaqaton ka
Javed Nasir
KHuda aabaad rakkhe zindagi ko
hamari KHamushi ko sah gai hai
Javed Nasir
khulti hain aasman mein samundar ki khiDkiyan
be-din raston pe kahin apna ghar to hai
Javed Nasir
kin kin ki aatmaen pahaDon mein qaid hain
aawaz do to bajte hain patthar ke daf yahan
Javed Nasir