allah re be-KHudi ki tere ghar ke aas-pas
har dar pe di sada tere dar ke KHayal mein
Jagan Nath Azad
ahaar aai hai aur meri nigahen kanp uTThin hain
yahi tewar the mausam ke jab ujDa tha chaman apna
Jagan Nath Azad
ahaar aate hi Takrane lage kyun saghar o mina
bata ai pir-e-mai-KHana ye mai-KHanon pe kya guzri
Jagan Nath Azad
chalte rahe hum tund hawaon ke muqabil
'azad' charagh-e-tah-e-daman na rahe hum
Jagan Nath Azad
DhunDhne par bhi na milta tha mujhe apna wajud
main talash-e-dost mein yun be-nishan tha dosto
Jagan Nath Azad
hum ne bura bhala hi sahi kaam to kiya
tum ko to e'tiraaz hi karne ka shauq tha
Jagan Nath Azad
ibtida ye thi ki main tha aur dawa ilm ka
intiha ye hai ki is dawe pe sharmaya bahut
Jagan Nath Azad
ek bar agar qafas ki hawa ras aa gai
ai KHud-fareb phir hawas-e-baal-o-par kahan
Jagan Nath Azad
is se ziyaada daur-e-junun ki KHabar nahin
kuchh be-KHabar se aap the kuchh be-KHabar se hum
Jagan Nath Azad