e-sabab 'raghib' taDap uThta hai dil
dil ko samjhana paDega Thik se
Iftikhar Raghib
chand yaaden hain chand sapne hain
apne hisse mein aur kya hai ji
Iftikhar Raghib
dil mein kuchh bhi to na rah jaega
jab teri chah nikal jaegi
Iftikhar Raghib
din mein aane lage hain KHwab mujhe
us ne bheja hai ek gulab mujhe
Iftikhar Raghib
ek mausam ki kasak hai dil mein dafn
miTha miTha dard sa hai mustaqil
Iftikhar Raghib
ek baDi jang laD raha hun main
hans ke tujh se bichhaD raha hun main
Iftikhar Raghib
inkar hi kar dijiye iqrar nahin to
uljhan hi mein mar jaega bimar nahin to
Iftikhar Raghib
is shoKHi-e-guftar par aata hai bahut pyar
jab pyar se kahte hain wo shaitan kahin ka
Iftikhar Raghib
ji chahta hai jina jazbaat ke mutabiq
haalat kar rahe hain haalat ke mutabiq
Iftikhar Raghib