ajab mazaq us ka tha ki sar se panw tak mujhe
wafaon se bhigo diya nadamaton ki soch mein
Humaira Rahman
guzashta mausamon mein bujh gae hain rang phulon ke
daricha ab bhi mera raushni ke zawiyon par hai
Humaira Rahman
hum aur tum jo badal gae to itni hairat kya
aks badalte rahte hain aainon ki KHati
Humaira Rahman
hawa ki tez-gamiyon ka inkishaf kya karen
jo dosh par liye ho us ke bar-KHilaf kya karen
Humaira Rahman
kankar phenk rahe hain ye andaza karne ko
Thahra pani kitni 'humaira' halchal rakhta hai
Humaira Rahman
logo! hum pardesi ho kar jaane kya kya kho baiThe
apne kuche bhi lagte hain begane begane se
Humaira Rahman
meri almariyon mein qimti saman kafi tha
magar achchha laga us se kai farmaishen karna
Humaira Rahman
aushan-dan se dhup ka TukDa aa kar mere pas gira
aur phir suraj ne koshish ki mujh se aankh milane ki
Humaira Rahman
wo lamha jab mere bachche ne man pukara mujhe
main ek shaKH se kitna ghana daraKHt hui
Humaira Rahman