agar teri KHushi hai tere bandon ki masarrat mein
to ai mere KHuda teri KHushi se kuchh nahin hota
Hari Chand Akhtar
harosa kis qadar hai tujh ko 'aKHtar' us ki rahmat par
agar wo shaiKH-sahib ka KHuda nikla to kya hoga
Hari Chand Akhtar
han wo din yaad hain jab hum bhi kaha karte the
ishq kya chiz hai is ishq mein kya hota hai
Hari Chand Akhtar
hamein bhi aa paDa hai doston se kaam kuchh yani
hamare doston ke bewafa hone ka waqt aaya
I need a favour from my friends so now
the time has come for them to disavow
Hari Chand Akhtar
jama hain sare musafir na-KHuda-e-dil ke pas
kashti-e-hasti nazar aati hai ab sahil ke pas
Hari Chand Akhtar
jinhen hasil hai tera qurb KHush-qismat sahi lekin
teri hasrat liye mar jaane wale aur hote hain
Hari Chand Akhtar
jo Thokar hi nahin khate wo sab kuchh hain magar waiz
wo jin ko dast-e-rahmat KHud sambhaale aur hote hain
Hari Chand Akhtar
milegi shaiKH ko jannat, hamein dozaKH ata hoga
bas itni baat hai jis baat par mahshar bapa hoga
the priest to paradise, and I to hell arraigned
will, on such a trifle, be judgement day ordained?
Hari Chand Akhtar
mujh ko dekha phuT ke roya
ab samjha samjhane wala
Hari Chand Akhtar