asti ke hassas dilon ko chubhta hai
sannaTa jab sari raat nahin hota
Hanif Tarin
har zaKHm-e-kohna waqt ke marham ne bhar diya
wo dard bhi miTa jo KHushi ki asas tha
Hanif Tarin
jin ka yaqin rah-e-sukun ki asas hai
wo bhi guman-e-dasht mein mujh ko phanse lage
Hanif Tarin
mahfil mein phul KHushiyon ke jo banTta raha
tanhai mein mila to bahut hi udas tha
Hanif Tarin
pani ne jise dhup ki miTTi se banaya
wo daera-e-rabt bigaDne ke liye tha
Hanif Tarin
et par jalte hue dekh sarabon ke charagh
apne bikhraw mein wo aur sanwar jata hai
Hanif Tarin
ishte nate TuTe phuTe lage hain
jab bhi apna saya sath nahin hota
Hanif Tarin